logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - mir hasan mir - 2010

Ujar gaya hai Batool ka ghar Hussain chup hain

Ujar gaya hai Batool ka ghar Hussain chup hain
Khuda ki marzi may sar jhuka kar Hussain chup hain

Ye sabr ki kaunsi hai manzil
Pisar ka barchi se chhid gaya dil
Wo hans raha hai sirhanay qatil
Uthaaye haaton pe laash e Akbar, Hussain chup hain

Gaya hai laakhon me wo akela
Chalaye jaate hain teer aada
Kahin se barchi kahin se bhaala
Baras rahe hain kahin se pathar, Hussain chup hain

Laga hai kyon mere dil ko dharka
Lahoo se kiske ye tar hai chehra
Kahan hai Asghar batayein maula
Sawaal Asghar ki maa ka sun kar, Hussain chup hain

Naseeb e rahib jo Sheh ne badla
Yahan pe khamosh Kibriya tha
Magar ye manzar hai karbala ka
Yahan pe dekar khuda ko Akbar, Hussain chup hain

Kaha ye qasid ne ro kay maula
Mareez beti ka khat hun laaya
Salaam sabko hai usne likha
Salaam ka bas jawab dekar, Hussain chup hain

Hue hain zakhmon se choor maula
Badan se behta hai khoon ka darya
Kahe to rakh doo ulat ke dunya
Madad ko aaya hai ran me Zaafar, Hussain chup hain

Lari akelay may wo laraayi
Duhaai dene lagi khudaai
Sada junhi irjayi ki aayi
Nayaam may zulfiqar rakh kar, Hussain chup hain

Hussain gohar ye jaanta hai
Safar ye chauda sau saal ka hai
Sitam jo ab tak wo seh raha hai
Hai raaz isme koi to Akbar, Hussain chup hain

HomebookmarkmybayaazSetting